| |
Zuban khamosh, ankhon me nami hogi,
Yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi,
Bharne ko to har zakham bhar jayega,
kaise bharegi wo jagah jaha Teri kami hogi.
|
Aaj didar, kal yaar, parson pyaar,
phir ekrar, phir intezar, phir takrar,
phir darar, sari mehnat bekar,
aur aakhir mein ek aur devdas at beer bar.
|
apne hoThon par sajana chahta hoN
aa tuje main gungunana chahta hoN
koi aaNsu tere daman par girakr
boNd ko moti banana chahta hoN
thak gaya main krte-krte yaad tujhko
ab tujhe main yaad aana chahta hoN
aaKhri hichaki tere zaano pe aye
maut bhi main shayarana chahata hoN
|
Wo pyari nigah sada yaad rahe ge,
Mil kr na milne ke ada yaad rahe ge,
Mumkin ha mere baad wo mujhe bhula dein,
Lakin umer bhar un ko meri wafa yaad rahe ge,
|
|
Har waqt gul bankar muskurana jindagi hai,
Muskurakar gam bhulana jindagi hai,
Jeet kar muskuraye to kya muskuraye,
Har kar muskurana jindagi hai”
|
Mera lafz lafz dua dua, Mere aansuon se dhula hua,
tujhay zindagi ke wo sehar miley, tujhay muhabaton ka safar miley,
Tujhay dard-o-gam na kabhi choo sakay,
ye dua hai koi gila nahe,
tujhay zindagi main wo sakoon milay,
jo kisi ko kabhi mila nahe !!!!!!!
|
Tumhara ishq tumhari wafa hi kafi ha,
Tamam umar ye aasra hi kafi ha,
Kabhi jo milo hum se to milke muskura dena,
Khushi ke wastey ye silsila hi kafi ha,
Mujhe bahar ke mausam se kuch nahe lena,
Tumhare pyar ki rangeen fiza hi kafi ha,
Tumhara ishq tumhari wafa hi kafi ha,
|
| Pehlay kabi yeh yadien yeh tanhai na thi....is tarah say kabi madhoshi chaie na thi.....janay kia asar kar gaiyen us ki batien,,,,,warna is tarah yaad kise ki aie na thi
|
|